bajā ki lutf hai duniyā meñ shor karne kā
nasha kuchh aur hai gum-nām maut marne kā
abas hai zo.am samundar ke paar utarne kā
ye silsila hai faqat Dūbne ubharne kā
ajab samāñ thā ki tazlīl bhī thī kaif-añgez
vo merā vaqt tirī sīḌhiyāñ utarne kā
kafan meñ paañv hileñ pairahan meñ laash chale
hamārā ahd na jiine kā hai na marne kā
ye āgahī kā maraz lā-ilāj hai baabā
buḳhār utarne kā hai ye na zaḳhm bharne kā
yahī vo sā.at-e-fan jis meñ aap hoñ na muḳhil
yahī hai vaqt magar ham se baat karne kā
sabhī ne pyaar se sarf-e-nazar kiyā ham ko
na aayā 'sāz' tarīqa hameñ akharne kā