Abdul Ahad Saaz

baja ki paband-e-kucha-e-naz hum hue the

Abdul Ahad Saaz

Mumbai, Maharashtra, India

1950
bajā ki pāband-e-kūcha-e-nāz ham hue the
yahīñ se par le ke mahv-e-parvāz ham hue the
suḳhan kā āġhāz pahle bose kī tāzgī thā
azal-rubā sā.atoñ ke hamrāz ham hue the
jahāñ se ma.adūm thī ḳhush-ā.indagī safar kī
vahīñ se ik lamha-e-tag-o-tāz ham hue the
yahāñ jo ik guuñj dā.ere se banā rahī hai
isī ḳhamoshī meñ sañg-e-āvāz ham hue the
ravāñ-davāñ inkishāf-dar-inkishāf the ham
jo muḌ ke dekhā to seġha-e-rāz ham hue the
ufuq thā raushan na murta.ish pāniyoñ pe kirneñ
ġhalat jazīroñ pe lañgar-andāz ham hue the
kuredte phir rahe haiñ ab ret sāhiloñ kī
vahī jo ġhota-zan-e-yam-e-rāz ham hue the
jumūd kā ek daur guzrā thā fikr-o-fan par
tavīl arse ke ba.ad phir 'sāz' ham hue the
Top Urdushayar.com