Abdul Ahad Saaz

yun to sau tarah ki mushkil suKHani aae hamein

Abdul Ahad Saaz

Mumbai, Maharashtra, India

1950
yuuñ to sau tarah kī mushkil suḳhanī aa.e hameñ
par vo ik baat jo kuhnī na abhī aa.e hameñ
kaise toḌeñ use jo TuuT ke miltī ho gale
laakh chāhā ki rivāyat-shikanī aa.e hameñ
har qadam is mutabādil se bharī duniyā meñ
raas aa.e to bas ik terī kamī aa.e hameñ
pyaas bujh jaa.e zamīñ sabz ho manzar dhul jaa.e
kaam kyā kyā na in āñkhoñ kī tirī aa.e hameñ
dev-e-alfāz ke changul se chhuḌāne ke liye
āḳhir-e-shab koī ma.anā kī parī aa.e hameñ
phir hameñ qatl kare shauq se ban paa.e agar
ik ġhazal bhar to kisī shab koī jī aa.e hameñ
'sāz' ye shahr-navardī meñ bikhartā huā din
simTe ik moḌ to yaad us kī galī aa.e hameñ
Top Urdushayar.com