abas hai raaz ko paane kī justujū kyā hai
ye chāk-e-dil hai use hājat-e-rafū kyā hai
ye aa.ine haiñ ki ham-chehra lashkaroñ kī safeñ
ye aks aks koī sūrat-e-adū kyā hai
mushābahat ke ye dhoke mumāsalat ke fareb
mirā tazād liye mujh sā hū-ba-hū kyā hai
maiñ ek halqa-e-be-samt apne markaz par
ye shash-jahāt haiñ kaise ye chār-sū kyā hai
ye lahm o ḳhuuñ ke kinā.e ye zehn ke uslūb
mire vajūd kā pairāya-e-numū kyā hai
ye āsmāñ se rag-e-jāñ tak ek sargoshī
sukūt-e-shab kā ye andāz-e-guftugū kyā hai
ye rahguzār-e-nafas tañgnā.e-māyūsī
magar ye vus.at-e-dāmān-e-ārzū kyā hai
hisār-e-jism o tilism-e-qabā aziiz magar
nikal bhī aao mirī jaañ kabhū kabhū kyā hai
ḳhayāl kyā hai jo alfāz tak na pahuñche 'sāz'
jab aañkh se hī na Tapkā to phir lahū kyā hai