soch kar bhī kyā jaanā jaan kar bhī kyā paayā
jab bhī ā.īna dekhā ḳhud ko dūsrā paayā
hoñT par diyā rakhnā dil-jaloñ kī shoḳhī hai
varna is andhere meñ kaun muskurā paayā
bol the divānoñ ke jin se hosh vāloñ ne
soch ke dhuñdlakoñ meñ apnā rāsta paayā
ehtimām dastak kā apnī vaz.a thī varna
ham ne dar rasā.ī kā bār-hā khulā paayā
falsafoñ ke dhāgoñ se khīñch kar sirā dil kā
vahm se haqīqat tak ham ne silsila paayā
umr yā zamāne kā khel hai bahāne kā
sab ne mājrā dekhā kis ne mudda.ā paayā
shā.erī talab apnī shā.erī atā us kī
hausle se kam māñgā zarf se sivā paayā
'sāz' jab khulā ham par sher koī 'ġhālib' kā
ham ne goyā bātin kā ik surāġh sā paayā