Shaz Tamkanat

san kar bayan-e-dard kaleja dahal na jae

Shaz Tamkanat

Hyderabad, Telangana, India

1933-1985
san kar bayān-e-dard kaleja dahal na jaa.e
duniyā se Dar rahe the ki duniyā badal na jaa.e
har mahfil-e-nashāt se phirtā huuñ duur duur
kyā ehtiyāt hai ki tirā ġham bahal na jaa.e
to aaj tak to hai mirī nazroñ meñ hū-ba-hū
duniyā badal ga.ī tirī sūrat badal na jaa.e
haiñ tāq-e-ārzū pe khilaune saje hue
māyūs aarzū kī tabī.at machal na jaa.e
tishna-labī kahīñ mujhe ġharqāb kar na de
thoḌī sī raushnī ke liye ghar hī jal na jaa.e
ik ḳhauf hai ki manzil-e-nisyāñ qarīb hai
tū vādī-e-ḳhayāl se aage nikal na jaa.e
ro.uuñ kahāñ ki rāhat-e-ḳhalvat nahīñ hai 'shāz'
hañsne pe bhī ye shart ki aañsū nikal na jaa.e
Top Urdushayar.com