Abdul Ahad Saaz

sabaq umr ka ya zamane ka hai

Abdul Ahad Saaz

Mumbai, Maharashtra, India

1950
sabaq umr kā yā zamāne kā hai
sab āmoḳhta bhuul jaane kā hai
ye gum hote chehre ye manzar ye gard
samāñ raat din yaañ se jaane kā hai
ruke haiñ ki Tuk dekh leñ soch leñ
tavaqquf takalluf bahāne kā hai
ye sadiyoñ kā mohkam munazzam sukūt
tilism ek chuTkī bajāne kā hai
mahak saañs sabza-e-qabr kī
kināya sā jaise bulāne kā hai
vazāhat na qurbat kī kiije talab
ki ye silsila duur jaane kā hai
qafas meñ mire zehan ke muztarib
ye tinkā tire āshiyāne kā hai
alag ik kahānī sā lagtā idhar
tasalsul udhar ke fasāne kā hai
ga.e din samajhne parakhne ke 'sāz'
ye mausam to bas maan jaane kā hai
Top Urdushayar.com