Abdul Ahad Saaz

jo kuchh bhi ye jahan ki zamane ki ghar ki hai

Abdul Ahad Saaz

Mumbai, Maharashtra, India

1950
jo kuchh bhī ye jahāñ kī zamāne kī ghar kī hai
rūdād ek lamha-e-vahshat-asar kī hai
phir dhaḌkanoñ meñ guzre huoñ ke qadam kī chaap
sāñsoñ meñ ik ajiib havā phir udhar kī hai
phir duur manzaroñ se nazar ko hai vāsta
phir in dinoñ fazā meñ hikāyat safar kī hai
pahlī kiran kī dhaar se kaT jā.eñge ye par
iz.hār kī uḌaan faqat raat bhar kī hai
idrāk ke ye dukh ye azaab āgahī ke dost!
kis se kaheñ ḳhatā nigah-e-ḳhud-nigar kī hai
vo an-kahī sī baat suḳhan ko jo pur kare
'sāz' apnī shā.erī meñ kamī us kasar kī hai
Top Urdushayar.com