Abdul Ahad Saaz

sawal be-aman ban ke rah gae

Abdul Ahad Saaz

Mumbai, Maharashtra, India

1950

savāl be-amān ban ke rah ga.e

javāb imtihān ban ke rah ga.e

had-e-nigāh tak buland falsafe

gharoñ ke sā.ebān ban ke rah ga.e

jo zehan, āgahī kār-gāh the

ḳhayāl dukān ban ke rah ga.e

bayāz par sambhal sake na tajrabe

phisal paḌe bayān ban ke rah ga.e

kiran kiran yaqīn jaise rāste

dhuāñ dhuāñ gumān ban ke rah ga.e

ziyā.eñ bāñTte the, chāñd the kabhī

gahan lagā to daan ban ke rah ga.e

mirā vajūd shahr shahr ho gayā

kahīñ kahīñ nishān 'ban' ke rah ga.e

kamar javāb de ke jhuk ga.ī badan

savāliya nishān ban ke rah ga.e

maiñ fan sā.atoñ ko lab na de sakā

nuqūsh be-zabān ban ke rah ga.e

nafas nafas talab talab the 'sāz' ham

qadam qadam takān ban ke rah ga.e

Top Urdushayar.com