Abdul Ahad Saaz

marne ki puKHta-KHayali mein jine ki KHami rahne do

Abdul Ahad Saaz

Mumbai, Maharashtra, India

1950
marne kī puḳhta-ḳhayālī meñ jiine kī ḳhāmī rahne do
ye istidlālī tark karo bas istifhāmī rahne do
ye tez-ravī ye tursh-ruī chalne kī nahīñ hai duur talak
shabnam-nazarī shīrīñ-suḳhanī āsūda-gāmī rahne do
sau dasht samundar chhāno par aate raho qarya-e-dil tak bhī
bairūnī havā ke jhoñkoñ meñ ik mauj-e-maqāmī rahne do
ab tanz pe kyuuñ majbūr karo ham ġhair mulavvis logoñ ko
fan pesh karo ye fahrist-e-asmā-e-girāmī rahne do
raftār par itnī daad na do manzil na mirī chhīno mujh se
az-rāh-e-hunar mire hisse kī thoḌī nākāmī rahne do
jatlāte phiro gar qad apnā paimā.ish kī mohlat to na do
is qāmat-e-bālā ke sadqe ye zūd-qayāmī rahne do
ab ham se pareshāñ-hālāñ ko kyā amn-o-sukūñ raas aa.egā
yūñhī bohrānī chalne do saarā hañgāmī rahne do
ai 'sāz' vagarna log tumheñ Thahrā.eñge sāñpoñ kā maskan
is shahr-e-aks-gazīda meñ ā.īna-fāmī rahne do
Top Urdushayar.com