ḳhud ko kyuuñ jism kā zindānī kareñ
fikr ko taḳht-e-sulaimānī kareñ
der tak baiTh ke socheñ ḳhud ko
aaj phir ghar meñ bayābānī kareñ
apne kamre meñ sajā.eñ āfāq
jalsa-e-be-sar-o-sāmānī kareñ
umr bhar sher kaheñ ḳhuuñ thūkeñ
muntaḳhab rāsta nuqsānī kareñ
ḳhud ke sar mol leñ iz.hār kā qarz
dūsroñ ke liye āsānī kareñ
sher ke lab pe ḳhamoshī likkheñ
harf-e-nā-gufta ko lā-fānī kareñ
kīmiyā-kārī hai fan apnā 'sāz'
aag ko baiThe hue paanī kareñ