shab-e-va.ada kah ga.ī hai shab-e-ġham darāz rakhnā
ise maiñ bhī raaz rakkhūñ ise tum bhī raaz rakhnā
ye hai ḳhaar ḳhaar vaadī yūñhī zaḳhm zaḳhm chalnā
ye hai pattharoñ kī bastī yūñhī dil-e-gudāz rakhnā
hama-tan junūñ huuñ phir bhī rahe kuchh to parda-dārī
ki burā nahīñ ḳhirad se koī sāz-bāz rakhnā
mire nāḳhun-e-vafā par koī qarz rah na jaa.e
tire dil meñ jo girah hai use nīm-bāz rakhnā
vahī lai jo an-sunī bhī vahī 'shāz' naġhmagī bhī
ye hisāb-e-ḳhāmushī bhī mire nai-navāz rakhnā