Abdul Ahad Saaz

azdawaji zindagi bhi aur tijarat bhi adab bhi

Abdul Ahad Saaz

Mumbai, Maharashtra, India

1950
azdavājī zindagī bhī aur tijārat bhī adab bhī
kitnā kār-āmad hai sab kuchh aur kaisā be-sabab bhī
jis ke ek ik harf-e-shīrīñ kā asar hai zahr-āgīñ
kyā hikāyat likh ga.e mere laboñ par us ke lab bhī
umr bhar tār-e-nafas ik hijr hī kā silsila hai
vo na mil paa.e agar to aur agar mil jaa.e tab bhī
log achchhe zindagī pyārī hai duniyā ḳhūbsūrat
aah kaisī ḳhush-kalāmī kar rahī hai rūh-e-shab bhī
lafz par mafhūm us lamhe kuchh aisā multafit hai
jaise az-ḳhud ho ināyat bosa-e-lab be-talab bhī
nā-tavāñ kam-zarf isyāñ kār-e-jāhil aur kyā kyā
pyaar se mujh ko bulātā hai vo merā ḳhush-laqab bhī
ham bhī haiñ pābandī-e-iz.hār se bezār lekin
kuchh salīqa to suḳhan kā ho hunar kā koī Dhab bhī
naam nisbat milkiyyat kuchh bhī nahīñ baaqī agarche
'sāz' us kūche meñ merā ghar huā kartā hai ab bhī
Top Urdushayar.com