nazar āsūda-kām-e-raushnī hai
mire aage sarāb-e-āgahī hai
zamānoñ ko milā hai soz-e-iz.hār
vo saa.at jab ḳhamoshī bol uThī hai
hañsī sī ik lab-e-zauq-e-nazar par
shafaq-zār-e-tahayyur ban ga.ī hai
zamāne sabz o surḳh o zard guzre
zamīñ lekin vahī ḳhākistarī hai
pighaltā jā rahā hai saarā manzar
nazar tahlīl hotī jā rahī hai
dhuñdlakoñ ko añdhere chaaT leñge
ki aage ahd-e-marg-e-raushnī hai
bikharte kārvāñ ye irtiqā ke
sarāsīma sā zauq-e-zindagī hai
maiñ dekhūñ to dikhā dūñgā tumheñ 'sāz'
abhī mujh meñ basīrat kī kamī hai