jaise koī dā.era takmīl par hai
in dinoñ mujh par guzishta kā asar hai
zindagī kī band siipī khul rahī hai
aur us meñ ahd-e-tiflī kā guhar hai
dil hai rāz-o-ramz kī duniyā meñ shādāñ
aql ko har aan tashvīsh-e-ḳhabar hai
ik tavaqquf-zār meñ gum hai tasalsul
lamha-e-maujūd goyā umr bhar hai
zehan meñ rauzan anokhe khul rahe haiñ
jin se an-sochī havāoñ kā guzar hai
fāsle taqsīm hī hote nahīñ jab
'sāz' phir kyā sust-rau kyā tez-tar hai