daraḳht ruuh ke jhūme parind gaane lage
hameñ udhar ke manāzir nazar bhī aane lage
ḳhush-āmdīd kā manzar ġhurūb-e-shām meñ thā
dar-e-shafaq pe farishte se muskurāne lage
firāq o vasl ke mā-bain ye samāñ jaise
udaas lai meñ koī hamd gungunāne lage
maiñ ek sā.at-e-be-ḳhud meñ chhū gayā thā jise
phir us ko lafz tak aate hue zamāne lage
ḳhabar ke moḌ pe sañg-e-nishāñ thī be-ḳhabarī
Thikāne aa.e mire hosh yā Thikāne lage
muhīb rāste sarhad kī samt jaate hue
zarā sā aur chale ham to vo suhāne lage
ik apne-āp se milnā thā 'sāz' jis ke liye
riqābateñ huiiñ darkār dostāne lage