bad-sohbatoñ ko chhoḌ sharīfoñ ke saath ghuum
pī ḳhush-numā glass se achchhe laboñ ko chuum
lahje ko shoḳh chehre ko taaza banā.e rakh
tahsīn kī sabā ho ki taz.hīk kī sumūm
mai-ḳhāna-e-mafād ke mai-kash haiñ hosh-mand
mauqa.a se le le jaam tavāzun ke saath jhuum
burj-e-''amal'' meñ ''chance'' ke sūraj kī kar giraft
saḌkeñ haiñ ''zā.icha'' tirā ye qumqume nujūm
Thahrā to phir uḌā.eñgī ḳhāmoshiyāñ mazāq
stage se utar jo mache tāliyoñ kī dhuum
haañ gulshan-e-talab kī inheñ bulbuleñ samajh
vīrāñ-kade meñ jism ke ye ḳhvāhishoñ ke buum