na maqāmāt na tartīb-e-zamānī apnī
ittifāqāt pe mabnī hai kahānī apnī
jism sī jaatī hai tah-e-harf kisī karb kī mauj
tham ke rah jaatī hai lafzoñ kī ravānī apnī
phail jaatī thī samā.at kī zamīnoñ meñ namī
thī kabhī tar-suḳhanī āb-rasānī apnī
laakh tum mujh ko dabāo maiñ ubhar ā.ūñgā
sat.h hamvār kiye rahtā hai paanī apnī
mājrā ruuh kī vahshat kā nijī hai ai 'sāz'
aage rūdād nahīñ ham ko sunānī apnī