Abdul Ahad Saaz

dikhai dene ke aur dikhai na dene ke darmiyan sa kuchh

Abdul Ahad Saaz

Mumbai, Maharashtra, India

1950
dikhā.ī dene ke aur dikhā.ī na dene ke darmiyān sā kuchh
ḳhayāl kī lā-makāniyoñ meñ ubhar rahā hai makān sā kuchh
koī ta.ayyun koī tayaqqun nazar ko mahdūd rakh sake jo
falak se nīche bahut hī nīche banā hai ik sā.ebān sā kuchh
numū kā tūfāñ thā āfrīnash kī zad pe ham tum khaḌe the donoñ
tumheñ bhī kuchh yaad aa.e shāyad mujhe to aatā hai dhyān sā kuchh
havā.eñ vābastagī se pur haiñ fazā pe maujūdgī hai taarī
navāh-e-jāñ meñ lahak rahā hai base-basā.e jahān sā kuchh
kahīñ ye manzar meñ qaid lamhe kahīñ ye lamhoñ meñ qaid manzar
rasā.ī kī āzmā.ishoñ meñ rihā.ī kā imtihān sā kuchh
andhere kāġhaz kī vus.atoñ meñ kahīñ kahīñ raushnī ke dhabbe
ye sa.ī-e-tajsīm-e-nā-bayānī ye ishtibāh-e-bayān sā kuchh
Top Urdushayar.com