ḳharāb-e-dard hue ġham-parastiyoñ meñ rahe
ḳhushī kī khoj bahāna thī mastiyoñ meñ rahe
huā husūl-e-zar-e-fan baḌī kashākash se
ham ek umr ajab tañg-dastiyoñ meñ rahe
har ik se jhuk ke mile yuuñ ki sarfarāz hue
chaTān jaise ḳhamīda sī pastiyoñ meñ rahe
chubhan kī naav meñ pur kī ḳhalīj rishtoñ kī
ajab mazāq se ham ghar girhastiy.on meñ rahe
kitābeñ chehre manāzir tamām bāda-kade
batā.eñ kyā ki baḌī mai-parastiyoñ meñ rahe
masāfateñ thiiñ shab-e-fikr kin zamānoñ kī
kahāñ kahāñ ga.e ham kaisī hastiyoñ meñ rahe
ḳhulūs-e-fikr kī galiyoñ meñ ghūmte tanhā
ham apne sher kī ābād bastiyoñ meñ rahe