Abdul Ahad Saaz

har ek lamhe ki rag mein dard ka rishta dhaDakta hai

Abdul Ahad Saaz

Mumbai, Maharashtra, India

1950
har ik lamhe kī rag meñ dard kā rishta dhaḌaktā hai
vahāñ taara laraztā hai jo yaañ patta khaḌaktā hai
Dhake rahte haiñ gahre abr meñ bātin ke sab manzar
kabhī ik lahza-e-idrāk bijlī sā kaḌaktā hai
mujhe dīvāna kar detī hai apnī maut kī shoḳhī
koī mujh meñ rag-e-iz.hār kī sūrat phaḌaktā hai
phir ik din aag lag jaatī hai jañgal meñ haqīqat ke
kahīñ pahle-pahal ik ḳhvāb kā shola bhaḌaktā hai
mirī nazreñ hī mere aks ko majrūh kartī haiñ
nigāheñ murtakiz hotī haiñ aur shīsha taḌaktā hai
Top Urdushayar.com