jaane vaale tujhe kab dekh sakūñ bār-e-digar
raushnī aañkh kī bah jā.egī aañsū ban kar
tū hissar-e-dar-o-dīvār liye jaa.e kidhar
merā kyā hai ki maiñ huuñ dasht-ba-dil ḳhāna ba-sar
kaun jaane mirī tanhā.ī-pasandī kyā hai
bas tire zikr kā andesha tire naam kā Dar
yuuñ bhī ashkoñ kā dhundalkā thā sujhā.ī na diyā
kis ne luuTā dam-e-ruḳhsat sar-o-sāmān-e-safar
kis ne dekhā hai mirā shahr-e-ḳhamoshān-e-hayāt
dil kī vaadī se guzarnā hai to āhista guzar
ro rahā huuñ ki tire saath hañsā thā barsoñ
hañs rahā huuñ ki koī dekh na le dīda-e-tar
ye mirī zaḳhm-e-nasībī ye tirī hairānī
maiñ ne tere hī ishāra pe to Daalī thī sipar
TuuT jā.egā nasha dekh koī naam na le
aañkh bhar aa.egī is tarah mirā jaam na bhar
koī gum-gashta har āġhāz-e-safar se pahle
chuum letā hai tirī yaad kā bhārī patthar
maiñ ne har raat yahī soch ke aañsū poñchhe
muñh dikhānā bhī hai duniyā ko ba-hañgām-e-sahar
'shāz' ko sabr atā kar ke baḌā kaam kiyā
us ne kyā māñgā thā kyā paayā hai ai rabb-e-hunar