Abdul Ahad Saaz

hum apne zaKHm kuredte hain wo zaKHm parae dhote the

Abdul Ahad Saaz

Mumbai, Maharashtra, India

1950
ham apne zaḳhm kuredte haiñ vo zaḳhm parā.e dhote the
jo ham se ziyāda jānte the vo ham se ziyāda rote the
achchhoñ ko jahāñ se uTThe hue ab kitnī dahā.iyāñ biit chukīñ
āḳhir meñ udhar jo guzre haiñ shāyad un ke par-pote the
in peḌoñ aur pahāḌoñ se in jhīloñ in maidānoñ se
kis moḌ pe jaane chhūT ga.e kaise yārāne hote the
jo shabd uḌāneñ bharte the āzād fazā-e-ma.anī meñ
yuuñ sher kī bandish meñ simTe goyā pinjroñ ke tote the
vo bhīge lamhe soch bhare vo jazboñ ke chaqmāq kahāñ
jo misra-e-tar de jaate the lafzoñ meñ aag pirote the
ye ḳhushk qalam banjar kāġhaz dikhlā.eñ kise samjhā.eñ kyā
ham fasl nirālī kāTte the ham biij anokhe bote the
ab 'sāz' nasheboñ meñ dil ke bas kīchaḌ kaalī daldal hai
yaañ shauq ke Dhalte jharne the yaañ ġham ke ubalte sote the
Top Urdushayar.com