Abdul Ahad Saaz

ek ima ek ishaara mar raha hai

Abdul Ahad Saaz

Mumbai, Maharashtra, India

1950
ik iimā ik ishāra mar rahā hai
ufuq par dil ke taarā mar rahā hai
jo mere ba.ad sab paidā huā thā
vo mujh se pahle saarā mar rahā hai
jise thā phuul kar phaTaknā hī lāzim
sikuḌ kar vo ġhubāra mar rahā hai
ka.ī maujoñ ne dam toḌā thā jis par
sunā hai vo kinārā mar rahā hai
ḳhirad tahlīl sahrā kar rahī hai
junūñ kā isti.āra mar rahā hai
nazar kī maut ik taaza alamiya
aur itne meñ nazāra mar rahā hai
zamāñ-paimā yahī miqyās-e-dil thā
magar ab us kā paara mar rahā hai
mujhe zinda thī jis kī nā-gavārī
vo ab mujh ko gavārā mar rahā hai
kahāñ māñgī huī sāñseñ kahāñ dil
jilāyā thaa, dobāra mar rahā hai
Top Urdushayar.com