savāl kā javāb thā javāb ke savāl meñ
giraft-e-shor se chhuTe to ḳhāmushī ke jaal meñ
burā ho ā.īñe tirā maiñ kaun huuñ na khul sakā
mujhī ko pesh kar diyā gayā mirī misāl meñ
baqā-talab thī zindagī shifā-talab thā zaḳhm-e-dil
fanā magar likhī ga.ī hai bāb-e-indimāl meñ
kahīñ sabāt hai nahīñ ye kā.enāt hai nahīñ
magar umīd-e-dīd meñ tasavvur-e-jamāl meñ
qadīm se haTe to ham jadīd meñ ulajh ga.e
nikal ke gardish-e-falak se mausamoñ ke jaal meñ