Abdul Ahad Saaz

dur se shahr-e-fikr suhana lagta hai

Abdul Ahad Saaz

Mumbai, Maharashtra, India

1950
duur se shahr-e-fikr suhānā lagtā hai
dāḳhil hote hī harjāna lagtā hai
saañs kī har aamad lauTānī paḌtī hai
jiinā bhī mahsūl chukānā lagtā hai
roz palaT aatā hai lahū meñ Duubā tiir
roz falak par ek nishāna lagtā hai
biich nagar din chaḌhte vahshat baḌhtī hai
shaam talak har-sū vīrāna lagtā hai
umr zamāna shahr samundar ghar ākāsh
zehan ko ek jhaTkā rozāna lagtā hai
be-hāsil chalte rahnā bhī sahl nahīñ
qadam qadam par ek bahāna lagtā hai
kyā uslūb chuneñ kis Dhab iz.hār kareñ
Tiis na.ī hai dard purānā lagtā hai
hoñT ke ḳham se dil ke pech milānā 'sāz'
kahte kahte baat zamāna lagtā hai
Top Urdushayar.com