yuuñ bhī dil ahbāb ke ham ne gaahe gaahe rakkhe the
apne zaḳhm-e-nazar par ḳhush-fahmī ke phāhe rakkhe the
ham ne tazād-e-dahr ko samjhā do-rāhe tartīb diye
aur baratne nikle to dekhā sah-rāhe rakkhe the
raqs-kada ho bazm-e-suḳhan ho koī kārgah-e-fan ho
zardozoñ ne apnī mā-tahtī meñ julāhe rakkhe the
mohtasiboñ kī ḳhātir bhī apne iz.hār meñ kuchh pahlū
rakh to liye the ham ne ab chāhe an-chāhe rakkhe the
jo vaj.h-e-rāhat bhī na the aur TuuT ga.e to ġham na huā
aah vo rishte kyuuñ ham ne ik umr nibāhe rakkhe the
kāhkashāñ-bandī meñ suḳhan kī rah ga.ī 'sāz' kasar kaisī
lafz to ham ne chun ke najūme mohre maahe rakkhe the