Abdul Ahad Saaz

hasrat-e-did nahin zauq-e-tamasha bhi nahin

Abdul Ahad Saaz

Mumbai, Maharashtra, India

1950
hasrat-e-dīd nahīñ zauq-e-tamāshā bhī nahīñ
kaash patthar hoñ nigāheñ magar aisā bhī nahīñ
jabr-e-dozaḳh nahīñ firdaus kā nashsha bhī nahīñ
ḳhush haiñ a.arāf meñ ham aur koī khaTkā bhī nahīñ
ab kisī huur meñ baaqī nahīñ ehsās-e-kashish
mere sar par kisī aaseb kā saaya bhī nahīñ
vo to aisā bhī hai vaisā bhī hai kaisā hai magar?
kyā ġhazab hai koī us shoḳh ke jaisā bhī nahīñ
jis kā haq thā ki bane sañg-e-malāmat kā hadaf
zahe taz.hīk vo ab shahr meñ rusvā bhī nahīñ
DhūñDh kuchh aur hī iblāġh kī sūrat ai 'sāz'
sharh o tafsīr nahīñ ramz o kināya bhī nahīñ
Top Urdushayar.com