Abdul Ahad Saaz

meri nigahon pe jis ne sham o sahar ki ranaiyan likhi hain

Abdul Ahad Saaz

Mumbai, Maharashtra, India

1950
mirī nigāhoñ pe jis ne shaam o sahar kī ra.anā.iyāñ likhī haiñ
usī ne merī shaboñ ke haq meñ ye karb-āsā.iyāñ likhī haiñ
kahāñ haiñ vo aarzū ke chashme talab ke vo maujzan samundar
nazar ne āndhe kueñ banā.e haiñ fikr ne khā.iyāñ likhī haiñ
ye jism kyā hai ye zāviyoñ kā tilism kyā hai vo ism kyā hai
adhūrī āgāhiyoñ ne jism kī ye nisf golā.iyāñ likhī haiñ
kinā.e pairā.e isti.āre alāmateñ ramziye ishāre
kiran se paikar ko zāviye de ke ham ne parchhā.iyāñ likhī haiñ
suḳhan kā ye narm-sail dariyā Dhale to ik ābshār bhī hai
nasheb-e-dil tak utar ke paḌhnā baḌī tavānā.iyāñ likhī haiñ
mire mah o saal kī kahānī kī dūsrī qist is tarah hai
junūñ ne rusvā.iyāñ likhī thiiñ ḳhirad ne tanhā.iyāñ likhī haiñ
ye mere naġhmoñ kī dil-rasī terī jhiil ā.ankhoñ kī shā.erī hai
jamāl kī sat.h dī hai tū ne to maiñ ne gahrā.iyāñ likhī haiñ
Top Urdushayar.com