jis se bezār rahe the vahī dar kyā kuchh hai
ghar kī duurī ne ye samjhāyā ki ghar kyā kuchh hai
shukr kartā huuñ ḳhudā ne mujhe mahsūd kiyā
ab maiñ samjhā ki mire paas hunar kyā kuchh hai
rāt-bhar jaag ke kaaTe to koī merī tarah
ḳhud-ba-ḳhud samjhegā vo pichhlā pahar kyā kuchh hai
koī jhoñkā nahīñ sankā chaman-e-rafta se
koī sun-gun nahīñ yāroñ kī ḳhabar kyā kuchh hai
nigarāñ sū-e-zamīñ dīda-e-aflāk hai aaj
jāda-e-vaqt pe miTTī kā safar kyā kuchh hai
jaise qismat kī lakīroñ pe hameñ chalnā hai
kaun samjhegā terī rāhguzar kyā kuchh hai
varaq-e-gul pe hai tahrīr sī donoñ jānib
ham ne kyā dekhā udhar jaane udhar kyā kuchh hai
chal paḌe sub.h-e-azal 'shāz' ishāre pe tire
ham ne sochā hī nahīñ raḳht-e-safar kyā kuchh hai