lafz kā dariyā utrā dasht-e-ma.ānī phailā
misra-e-ūlā hī meñ misra-e-sānī phailā
kahīñ chhupā hotā hai davām kisī lamhe meñ
yuuñ to hai sadiyoñ pe jahān-e-fānī phailā
dānā.ī kī duniyā tañg hai pechīda hai
yā-rab kuchh āsānī kar nādānī phailā
dāman-e-tar hī meñ to hai ashkoñ kī namī bhī
rahne de dhartī par yūñhī paanī phailā
manfa.ateñ hī darj haiñ sab kī fard-e-amal meñ
varaq kushāda kar thoḌī nuqsānī phailā
kirdāroñ kī pahchāneñ gum hone lagī haiñ
mere lekhak itnā bhī na kahānī phailā