Abdul Ahad Saaz

tab-e-hassas meri Khaar hui jati hai

Abdul Ahad Saaz

Mumbai, Maharashtra, India

1950
tab-e-hassās mirī ḳhaar huī jaatī hai
be-hisī ishrat-e-kirdār huī jaatī hai
ye ḳhamoshī ye ghulāvaT ye bichhaḌte hue rañg
shaam ik dard bharā pyaar huī jaatī hai
aur bārīk kiye jaatā huuñ maiñ mū-e-qalam
tez-tar sozan-e-iz.hār huī jaatī hai
kuchh to sach bol ki dil se ye girāñ bojh haTe
zindagī jhuuT kā tūmār huī jaatī hai
jāda-e-fan se guzarnā bhī kashākash hai tamām
raah ḳhud raah kī dīvār huī jaatī hai
soch kī dhuup meñ jal uThne ko jī chāhtā hai
apne lafzoñ se bhī ab aar huī jaatī hai
ziist yuuñ shaam ke lamhoñ se guzartī hai kabhī
ḳhud-ba-ḳhud sharh-e-ġham-e-yār huī jaatī hai
kam se kam phūñk hī de bujhtī huī raakh meñ 'sāz'
āḳhirī saañs bhī be-kār huī jaatī hai
Top Urdushayar.com