had-e-ufuq par saarā kuchh vīrān ubhartā aatā hai
manzar ke kho jaane kā imkān ubhartā aatā hai
pas-manzar meñ 'fēd' hue jaate haiñ insānī kirdār
focus meñ rafta rafta shaitān ubhartā aatā hai
pīchhe pīchhe Duub rahī haiñ umr-e-ravāñ kī manfa.ateñ
aage aage ik bhārī nuqsān ubhartā aatā hai
jaise maiñ dabtā jaatā huuñ un ā.ankhoñ ke bojh tale
dil par do ashkoñ kā ik ehsān ubhartā aatā hai
ek tashannuj ik hichkī phir ik niilī zahrīlī qai
kyā kuchh likh dene jaisā haijān ubhartā aatā hai
'sāz' mirī jānib uThtī hai raat ga.e añgusht-e-''alast''
ruuh meñ ik bhūlā-bisrā paimān ubhartā aatā hai