sāme.a lazzat-e-bayān-zada
zehn o dil sehr-e-dāstān-zada
fikr o tahqīq rehn-e-mohr-o-sanad
tālib-e-ilm imtihān-zada
zaat kī fikr hai qayās-ālūd
zindagī kā yaqīñ gumān-zada
raat pahchān de ga.ī sab ko
sub.h chehre mile nishān-zada
taak meñ hai na ki ta.āqub meñ
tū shikārī hai par machān-zada
un kī fikr-e-rasā falak-paimā
apnī socheñ haiñ āsamān-zada
ḳhud se rishte nahīñ rahe lekin
log ab bhī haiñ ḳhāndān-zada
raat hai log ghar meñ baiThe haiñ
daftar-ālūda o dukān-zada