Abdul Ahad Saaz

hisar-e-did mein jaga tilism-e-binai

Abdul Ahad Saaz

Mumbai, Maharashtra, India

1950
hisār-e-dīd meñ jaagā tilism-e-bīnā.ī
zarā jo lau tirī sham-e-badan kī tharrā.ī
na jaane kis se bichhaḌne ke rāg-rañg haiñ sab
ye zindagī hai ki furqat kī bazm-ārā.ī
sukūt-e-bahr meñ kis ġham kā raaz pinhāñ thā
bas ek mauj uThī aur aañkh bhar aa.ī
ye samt samt taḳhātub ufuq ufuq taqrīr
tirā kalām hai merā rafīq-e-tanhā.ī
ḳhirad kī rah jo chalā maiñ to dil ne mujh se kahā
azīz-e-man ''ba-salāmat-ravī o bāz-ā.ī''
uThā.e suur sarāfīl dekhtā hī rahā
bashar ke haath nizām-e-qayāmat-ārā.ī
kiyā thā jī kā ziyāñ ham ne ik ġhazal bhar ko
hazār sher kahe ho sakī na bharpā.ī
Top Urdushayar.com