zikr ham se be-talab kā kyā talabgārī ke din
tum hameñ sochoge ik din ḳhud se be-zārī ke din
munhamik masrūf ek ik kaam nimTāte hue
saaf se raushan se ye chalne kī tayyārī ke din
roz ik bujhtī huī sīlan bhare kamre kī shaam
khiḌkiyoñ meñ roz murjhāte ye bīmārī ke din
nam nashīlī sā.atoñ kī sard zahrīlī sī raat
ḳhvāb hote jā rahe hoñ jaise bedārī ke din
hāfize kī sust-rau lahroñ meñ halchal kyā huī
jaag uTThe dhaḌkanoñ kī tez-raftārī ke din
zehan ke sahrā meñ uThtā ik bagūla sā kabhī
gaahe gaahe kār-āmad se ye bekārī ke din
dam-ba-dam tahlīl sā hotā huā manzar kā bojh
sahl se hote hue palkoñ pe dushvārī ke din
umr ke bāzār kī had par navādir kī dukāñ
kuchh parakhte dekhte chunte ḳharīdārī ke din
rah ga.ī kāġhaz pe khiñch kar lafz se aarī lakīr
'sāz' shāyad bhar ga.e haiñ ab mire qaarī ke din