merī āñkhoñ se guzar kar dil o jaañ meñ aanā
jism meñ Dhal ke mirī rūh-e-ravāñ meñ aanā
kho na jaanā mirī jaañ sarhad-e-jāñ tak aa ke
qurb kā paas liye buad-e-karāñ meñ aanā
maiñ tire husn ko ra.anā.ī-e-ma.anī de duuñ
tū kisī shab mire andāz-e-bayāñ meñ aanā
saath chalne ko rafīq-e-rah-e-duniyā haiñ bahut
tū mire saath mire apne jahāñ meñ aanā
lā-makāñ sher kī bandish meñ simaTnā pal bhar
āsmāñ ā.īna-e-āb-e-ravāñ meñ aanā
ishq ne dekh liye husn meñ āfāq tamām
ek sakte kā vo umr-e-guzrāñ meñ aanā
zīnat-e-dast-e-hinā.ī hai yahī duzd-e-hinā
ġhaib kā ma.araza-e-vaqt-o-makāñ meñ aanā
tishna-e-nūr mirī fikr ke mahtāb o nujūm
mire ḳhurshīd mirī kāhkashāñ meñ aanā