Abdul Ahad Saaz

meri jholi mein wo lafzon ke moti Dal deta hai

Abdul Ahad Saaz

Mumbai, Maharashtra, India

1950
mirī jholī meñ vo lafzoñ ke motī Daal detā hai
sivā.e is ke kuchh māñgūñ to hañs kar Taal detā hai
sujhātā hai vahī rasta bhī un se bach nikalne kā
jo in ā.ankhoñ ko ḳhvāboñ ke sunahre jaal detā hai
mirā ik kārobār-e-jazba-o-alfāz hai us se
mire jazboñ ko pighlā kar vo misre Dhaal detā hai
haqīqat ghol rakhtā hai vo rūmānoñ ke paanī meñ
manāzir Thos detā hai nazar sayyāl detā hai
utar aatā hai vo shoḳhī pe yuuñ bhī mehrbānī kī
mire ik sher kī mohlat ko maah o saal detā hai
Top Urdushayar.com