vo kaun hai jis kī vahshat par sunte haiñ ki jañgal rotā hai
vīrāne meñ aksar raat ga.e ik shaḳhs hai pāgal rotā hai
phir san se kahīñ purvā.ī chalī khilte nahīñ dekhī dil kī kalī
ye jhuuT hai barkhā hotī hai ye sach hai ki bādal rotā hai
hai us kā sarāpā dīda-e-tar duniyā ko magar kyā is kī ḳhabar
sab ke liye āñkheñ hañstī haiñ mere liye kājal rotā hai
vo kis ke liye siñghār kare chandan sā badan yuuñ ruup bhare
jab maañg jhkā-jhak hotī hai ā.īna jhalā-jhal rotā hai
bantī nahīñ dil se 'shāz' apnī ye dost hai yā dushman koī
ham haiñ ki musalsal hañste haiñ vo hai ki musalsal rotā hai