manzar shamshān ho gayā hai
dil qabristān ho gayā hai
ik saañs ke ba.ad dūsrī saañs
jiinā bhugtān ho gayā hai
chhū aa.e haiñ ham yaqīñ kī sarhad
jis vaqt gumān ho gayā hai
sargoshiyoñ kī dhamak hai har-sū
ġhul kānoñ-kān ho gayā hai
vo lamha huuñ maiñ ki ik zamāna
mere daurān ho gayā hai
sau nok-palak palak-jhapak meñ
uqda āsān ho gayā hai
manzil vo ḳham-e-safar hai jis par
chorī sāmān ho gayā hai
ik marhala-e-kashākash-e-fan
vaj.h-e-imkān ho gayā hai
kāġhaz pe qalam zarā jo phislā
iz.hār-e-bayān ho gayā hai
paidā hote hī aadmī ko
lāhaq nisyān ho gayā hai
piilī āñkhoñ meñ zard sapne
shab ko yarqān ho gayā hai
saude meñ ġhazal ke fā.eda 'sāz'
kaisā nuqsān ho gayā hai