Abdul Ahad Saaz

jab tak shabd ke dip jalenge sab aaenge tab tak yar

Abdul Ahad Saaz

Mumbai, Maharashtra, India

1950
jab tak shabd ke diip jaleñge sab ā.eñge tab tak yaar
kaun utregā dil ke andhe bhāoñ ke matlab tak yaar
chand baras kī raah meñ kitne sāthī jīvan chhoḌ ga.e
jaane kitne ghaav lageñge umr kaTegī jab tak yaar
pūchh na kyā thī pichhle pahar kī dard bharī an-jānī chīḳh
jo man ke pātāl se uTThī rah ga.ī aa ke lab tak yaar
kab bājegā gaañv ke marghaT ke pare mandir ke sañkh
kab kaalā jaadū TūTegā raat Dhalegī kab tak yaar
'sāz' ye sheroñ kī sargoshī tirī mirī andar kī baat
rusvā ho kar rah jā.egī pahuñch ga.ī gar sab tak yaar
Top Urdushayar.com