Abdul Ahad Saaz

kabhi numayan kabhi tah-nashin bhi rahte hain

Abdul Ahad Saaz

Mumbai, Maharashtra, India

1950
kabhī numāyāñ kabhī tah-nashīñ bhī rahte haiñ
yahīñ pe rahte haiñ ham aur nahīñ bhī rahte haiñ
bhaTaktī nazroñ meñ haiñ murtakiz nigāheñ bhī
gumāñ-kadoñ meñ kuchh ahl-e-yaqīñ bhī rahte haiñ
agarche ham ko muqaddam hai rāh-e-ḳhidmat-e-ḳhalq
jo baaz aa.e to apne ta.iiñ bhī rahte haiñ
bajā shavāhid o mantiq qubūl bahs o dalīl
pa ham ḳhatā-e-nazar ke qarīñ bhī rahte haiñ
hijāb fikr-o-nazar ke uThā ke dekho to
hamāre fan meñ ka.ī nāznīñ bhī rahte haiñ
shabāhateñ sī ġhubār-e-had-e-nigāh meñ haiñ
pas-e-falak kahīñ ahl-e-zamīñ bhī rahte haiñ
tum apne Thor-Thikānoñ ko yaad rakkho 'sāz'
hamārā kyā hai ki ham to kahīñ bhī rahte haiñ
Top Urdushayar.com