ābla-pā.ī se vīrāna mahak jaatā hai
kaun phūloñ se mirā rāsta Dhak jaatā hai
maslahat kahtī hai vo aa.e to kyuuñ aa.e yahāñ
dil kā ye haal har aahaT pe dhaḌak jaatā hai
kyā sar-e-shām na lauTūñgā nasheman kī taraf
kyā añdherā ho to jugnū bhī bhaTak jaatā hai
ek dīvāna bhaTaktā hai bagūla ban kar
ek aahū kisī vaadī meñ ThiThak jaatā hai
koī āvāz kahīñ guuñj ke rah jaatī hai
koī aañsū kisī aariz pe Dhalak jaatā hai
qāfila umr kā paiham safar-āmāda sahī
shajar-e-sāya-fagan dekh ke thak jaatā hai
'shāz' is koshish-e-tamkīñ pe bahut naaz na kar
ye charāġh-e-tah-e-dāmāñ bhī bhaḌak jaatā hai