Shaz Tamkanat

dhup bhi chandni hai saya-e-ashjar se dekh

Shaz Tamkanat

Hyderabad, Telangana, India

1933-1985
dhuup bhī chāñdnī hai sāya-e-ashjār se dekh
koī bāzār sahī chashm-e-ḳharīdār se dekh
dā.ere qauseñ ḳhat-e-rañg bayāz-e-dil par
roz ik ālam-e-nau hai tirī raftār se dekh
jāgte sote jazīroñ ke dhundalke meñ balā
phir usī tarah mujhe parda-e-inkār se dekh
phir sazā-vār hai tujh ko mire har aib se pyaar
pahle tū merā hunar dīda-e-aġhyār se dekh
maiñ ki patthar sahī ta.abīr-e-sanam-ḳhāna huuñ
to mirā sho.ala-e-jāñ teshe kī jhankār se dekh
zad meñ aate rahe tere shah-o-farzīñ kyā kyā
apnī jiitī huī baazī ko mirī haar se dekh
'shāz' sūraj bhī tamāshā.ī huā aaj ke din
ruḳhsat-e-sāya-e-dīvār hai dīvār se dekh
Top Urdushayar.com