Shaz Tamkanat

jis taraf jaun udhar aalam-e-tanhai hai

Shaz Tamkanat

Hyderabad, Telangana, India

1933-1985
jis taraf jā.ūñ udhar ālam-e-tanhā.ī hai
jitnā chāhā thā tujhe utnī sazā paa.ī hai
meñ jise dekhnā chāhūñ vo nazar na aa sake
haa.e in āñkhoñ pe kyuuñ tohmat-e-bīnā.ī hai
bārhā sar-kashī o kaj-kulahī ke bā-vasf
tere dar par mujhe daryūza-garī laa.ī hai
sadma-e-hijr meñ tū bhī hai barābar kā sharīk
ye alag baat tujhe tāb-e-shakebā.ī hai
bhūlne vaale ne shāyad ye na sochā hogā
ek do din nahīñ barsoñ kī shanāsā.ī hai
jām-e-ḳhush-rañg tahī hai mujhe ma.alūm na thā
apnī TuuTī huī tauba pe hañsī aa.ī hai
ye tavajjoh bhī tirī husn-e-gurezāñ kī tarah
ye taġhāful bhī mirī hausla-afzā.ī hai
terā lahja hai ki sannāTe ne āñkheñ kholīñ
terī āvāz kalīd-e-dar-e-tanhā.ī hai
'shāz' pūchho ki ye āñkhoñ kā dhuñdlakā kab tak
raat aa.ī nahīñ yā niiñd nahīñ aa.ī hai
Top Urdushayar.com