Shaz Tamkanat

koi tanhai ka ehsas dilata hai mujhe

Shaz Tamkanat

Hyderabad, Telangana, India

1933-1985
koī tanhā.ī kā ehsās dilātā hai mujhe
maiñ bahut duur huuñ nazdīk bulātā hai mujhe
maiñ ne mahsūs kiyā shahr ke hañgāme meñ
koī sahrā meñ hai, sahrā meñ bulātā hai mujhe
tū kahāñ hai ki tirī zulf kā saaya saaya
har ghanī chhāñv meñ le jā ke biThātā hai mujhe
ai mire hāl-e-pareshāñ ke nigah-dār ye kyā
kis qadar duur se ā.īna dikhātā hai mujhe
ai makīn-e-dil-o-jāñ maiñ tirā sannāTā huuñ
maiñ imārat huuñ tirī kis liye Dhātā hai mujhe
rahm kar maiñ tirī mizhgāñ pe huuñ aañsū kī tarah
kis qayāmat kī bulandī se girātā hai mujhe
'shāz' ab kaun sī tahrīr ko taqdīr kahūñ
koī likhtā hai mujhe koī miTātā hai mujhe
Top Urdushayar.com