Adarsh Dube

tumko chhoDa to aisa laga jaise KHud se alag ho gae

Adarsh Dube

Sagar, Madhya Pradesh, India

2001
tum ko chhoḌā to aisā lagā jaise ḳhud se alag ho ga.e
ek manzil ko jaate hue apne raste alag ho ga.e
bas isī baat se ġham-zada bas isī baat kā dukh hameñ
dūsroñ se yuuñ milte hue mere apne alag ho ga.e
kuchh siyāsat se toḌe ga.e kuchh ko sāzish ne bahkā diyā
ek maañ ke haiñ jaa.e sabhī aaj kitne alag ho ga.e
raat kī samt dekho nahīñ niiñd us din se aa.ī nahīñ
jab se vālid ke hī sāmne us ke beTe alag ho ga.e
bas yahī haal hogā terā bas yahī haal hogā merā
jaise ek peḌ kī shāḳh se us ke patte alag ho ga.e
Top Urdushayar.com