ham kahīñ bhī hoñ magar ye chhuTTīyāñ rah jā.eñgī
phuul sab le jā.eñge par pattiyāñ rah jā.eñgī
kaam karnā ho jo kar lo aaj kī tārīḳh meñ
aañkh nam ho jā.egī phir siskiyāñ rah jā.eñgī
is na.e qānūn kā manzar yahī dikhtā hai ab
paañv kaT jā.eñge lekin beḌiyāñ rah jā.eñgī
sirf lafzoñ ko nahīñ andāz bhī achchhā rakho
is jagat meñ sirf mīThī boliyāñ rah jā.eñgī
kyoñ banāte ho siyāsat ko tum apnā ham-safar
sab chale jā.eñge lekin kursiyāñ rah jā.eñgī
tum ko bhī ādarsh par 'ādarsh' chalnā hai yahāñ
varna is daldal meñ dhañstīñ pīḌhiyāñ rah jā.eñgī