Adarsh Dube

main tumhaara raha raat bhar

Adarsh Dube

Sagar, Madhya Pradesh, India

2001
maiñ tumhārā rahā raat bhar
kasmasātā rahā raat bhar
tum ne dil ko jalāyā bahut
maiñ bujhātā rahā raat bhar
zaḳhm ubhre the tan par magar
maiñ chhupātā rahā raat bhar
jis ke aane kī ummīd thī
vo satātā rahā raat bhar
bas tumheñ bhūlne ke liye
ḳhat jalātā rahā raat bhar
tum se milnā bahut hai kaThin
so bhulātā rahā raat bhar
ḳhair-maqdam ko tere diyā
jagmagātā rahā raat bhar
ashk paanī nahīñ the magar
maiñ bahātā rahā raat bhar
dil meñ thā ek pakshī tirā
chhaTpaTātā rahā raat bhar
vo mujhe chāhtā thā bahut
maiñ banātā rahā raat bhar
maiñ hī huuñ terā ik ham-safar
ye jatātā rahā raat bhar
bas tujhe dekhne ke liye
kasmasātā rahā raat bhar
jis pe ham ko bahut thā yaqīñ
vo rulātā rahā raat bhar
ye to 'ādarsh' bhī na huā
kaun aatā rahā raat bhar
Top Urdushayar.com