Shaz Tamkanat

ek raat aapne ummid pe kya rakkha hai

Shaz Tamkanat

Hyderabad, Telangana, India

1933-1985
ek raat aap ne ummīd pe kyā rakkhā hai
aaj tak ham ne charāġhoñ ko jalā rakkhā hai
sausan o nastaran o sumbul o raihān o gulāb
terī yādoñ ko gulistāñ meñ chhupā rakkhā hai
vaj.h-e-āvārgī-e-ishq-e-fasurda ma.alūm
nigah-nāz ko parda sā banā rakkhā hai
dard daulat hī sahī pahlū-e-rāhat hī sahī
kuchh dinoñ ishq ne bhī ḳhud ko bachā rakkhā hai
le uḌe ahl-e-junūñ husn kī ik ek adā
ḳhalvat o bazm meñ ab farq hī kyā rakkhā hai
haa.e ḳhushbū se tire dard kī nisbat na ga.ī
maiñ ne har phuul ko siine se lagā rakkhā hai
aaj to shikva-e-mahrūmī-e-dīdār nahīñ
ham ne kal ke liye is ġham ko uThā rakkhā hai
Top Urdushayar.com